Sunday, October 07, 2007

EK AAM ADMI KI PRARTHNA (Prayer of a common man)

HE PRABHO, YEH NAHIN KI MEIN NAHIN JAANTA KI KYA SAHI HAI, YA KYA GALAT HAI, MEIN ACHCHI TARAH JAANTA HOON KI SHASTRON MEIN KYA LIKHA HAI KI MANUSHYA KAA SAHI AACHRAN KYA HAI, WA KISI BHI STHITI MEIN MUJHE KYA KARNA CHAHIYE JO SHASTRA SANGAT HO;

HE PRABHO, PAR FIR BHI MEIN WAHI KARTA HOON JO MERE MAN MEIN AATI HAI, JO MERE MAN KO ACHCHA LAGTA HAI, CHAHE WOH SAHI HO YA GALAT, SHASTRA SANGAT HO YA NA HO, SAB KAAM MAN MAANI KARKE ULTE PALTE KARTA HOON;

HE PRABHO AB TUHI MUJHE BACHAA, TUHI MERI RAKSHA KAR.

HE RAM HE RAM HE KRISHN HE KRISHN RAKSHA KARO RAKSHA KARO

(He Prabho, I know very well that what is right and what is wrong; I also know very well that what is written in the shastras and what the conduct of a man must be in a given situation in accordance with the shastras;

He Prabho, I still do whatever I feel like doing, whether it is right or wrong whether it is in accordance with the shastras or not, most of the time I end up doing just the opposite of what the Shastra say I am required to do.

He Prabho, now you save me, you protect me I pray to you.)

0 Comments:

Post a Comment

<< Home